Zahir Na Tha Nahin Sahi Lekin Zuhur Tha

zāhir na thā nahīñ sahī lekin zuhūr thā

kuchh kyuuñ na thā jahān meñ kuchh to zarūr thā

mai ko mire surūr se hāsil surūr thā

maiñ thā nashe meñ chuur nasha mujh meñ chuur thā

kam-māya fard-e-jurm hai kyā kahiye ai karīm

ham se kamī huī ye hamārā qusūr thā

le jā rahe haiñ dost mujhe aa rahā hai dost

kyā maut ko bhī aaj hī marnā zarūr thā

mulk-e-suḳhan har ahl-e-suḳhan ko huā nasīb

‘nātiq’ mire nasīb meñ ye nāgpur thā

Leave a Comment