banda agar jahan men baja.e ḳhuda nahin
lekin nazar karo to ḳhuda se juda nahin
nuqte ka farq hai ga ḳhuda aur juda men dekh
surat men gar chhupa hai ba-ma.ani chhupa nahin
har shai ke biich aap nihan ho ayaan hua
dekha to ham ne us sa koi ḳhud-numa nahin
hairan aql-e-kul ki hai us ki sifat ko dekh
sab ja men jalva-gar hai magar ek ja nahin
lazzat chakha ke dil ke ta.iin hijr o vasl ki
‘hatim’ se mil raha hai aur ab tak mila nahin
Leave a Reply