• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zahid Ke Dil Mein but Hai Musalman Nahin Raha

Zahid Ke Dil Mein but Hai Musalman Nahin Raha

poet

zahid ke dil men but hai musalman nahin raha

ye barahman hai sahab-e-iman nahin raha

malte hain haath yaas se dast-e-junun mire

afsos koi tar-e-gareban nahin raha

sad-shukr apne saath dil us ko bhi le gaya

jo chheḌta tha ham ko vo arman nahin raha

tasvir-e-yar mujh ko tasavvur bana chuka

par shukr hai ḳhuda ka pareshan nahin raha

pahuncha diya saba ne use ku-e-yar men

apna ghubar be-sar-o-saman nahin raha

lab-basta daf.atan jo hua zaḳhm-e-dil mira

dilbar ke ḳhvan ka vo namak-dan nahin raha

insaniyat hai jis men dila hai vo aadmi

haivaniyat hai jis men vo insan nahin raha

ifsha ye raz-e-ishq hua meri aah se

jis ko chhupa rahe the vo pinhan nahin raha

ashiq ki turbaton ko miTa kar ye kah diya

lo ab nishan-e-gor-e-ghariban nahin raha

apni sada suna ke har ik yaan se chal basa

gulshan men koi murgh-e-ḳhush-ilhan nahin raha

jo qaidi-e-mehan the ‘jamila’ vo chal base

zindan men koi sahab-e-zindan nahin raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dikhla do Naqsh Pa-E-Rasul-E-Amin Ko

akbar-allahabadi

Ye Baat Ghalat Ki dar-Ul-Islam Hai Hind

adil-mansuri

Ghum Raha Tha Ek Shakhs Raat Ke Khaarzar Mein

shabana-yousaf

Ye To Socha Hi Nahin Usko Juda Karte Hue

Use Malal Ho Kya Dost Ki Judai Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet