zahid kahun kya tujh se ki huun ab main kidhar ka
afat-zada huun yaar idhar ka na udhar ka
kis taur dil us khanjar-e-mizhgan ki sipar ho
maqdur jahan ho na qaza ka na qadar ka
gulzar men duniya ke huun jo nakhl-e-bhuchampa
khvahish na samar ki na miyan khauf qahr ka
main haath men huun baad ke manind par-e-kah
paband na ghar ka huun na mushtaq safar ka
us se jo kiya ‘ishq’ ka mazkur kisi ne
bola ki abas zikr hai us khak-basar ka
Leave a Reply