
Jameeluddin Aali
ankhon men haya aa jaati hai honTon pe tabassum laate hain
vo mujh pe sitam jab karte hain tasvir-e-karam ban jaate hain
ab aap inayat karne ki taklif hi kyuun farmate hain
din yuun bhi guzarne hi Thahre din yuun bhi guzar hi jaate hain
allah re ḳhas-o-ḳhashak se ye hans hans ke chaTanon ka kahna
vo tufan ko kya samjhenge jo tufan men bah jaate hain
ik samt musalsal ummiden ik samt musalsal mahrumi
kab tak ye uThe bar-e-hasti shane hain ki TuuTe jaate hain
ab aisi karam ki baton se dabti hain kahin dil ki choTen
tum jitna miTate jaate ho ye naqsh ubharte aate hain
is daur-e-pareshani men kabhi vo vaqt bhi aata hai ‘ali’
kuchh dil bhi dhoke khata hai kuchh vo bhi karam farmate hain

Leave a Reply