zahar lagta hai ye aadat ke mutabiq mujh ko
kuchh munafiq bhi batate hain munafiq mujh ko
din chaḌhe dhuup ki baten nahin sunta koi
chandni-rat pukare tira ashiq mujh ko
kashtiyan reshmi ḳhvabon ki jala kar jaana
kis ki chahat ne bana rakkha hai ‘tariq’ mujh ko
aap ke naam pe main had men raha huun lekin
aap ke naam pe duniya ne kiya diq mujh ko
main ne suraj ki tarah ḳhud ko banaya jis din
dekhne a.enge ye maghrib-o-mashriq mujh ko
aap kahte to zara dil ko tasalli hoti
kahne valon ne kaha ashiq-e-sadiq mujh ko
Leave a Reply