• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zabt-E-Girya Mein Bhi Girya to Kiya Hai Maine

Zabt-E-Girya Mein Bhi Girya to Kiya Hai Maine

zabt-e-girya men bhi girya to kiya hai main ne

chup raha huun pa tamasha to kiya hai main ne

ab uḌa.unga use tere falak par ik din

apni miTTi ko ikaTTha to kiya hai main ne

dekhiye kis ke ḳhad-o-ḳhal nazar aate hain

ek divar ko shisha to kiya hai main ne

ab main kuchh aur banun aisi bayabani men

TuuT jaane ka irada to kiya hai main ne

khul ke main vasl ki baten nahin karta phir bhi

baton baton men taqaza to kiya hai main ne

pyaar ki had hi nahin koi ye maana lekin

jitna ho sakta hai utna to kiya hai main ne

shayad aa jaa.e ḳhabar apne alava huun kahan

ḳhud ko tanha.i men tanha to kiya hai main ne

mujh men tashkik bhi sar apna uTha sakti hai

ai ḳhuda tujh pe bharosa to kiya hai main ne

jaane ab kaun gali men kahin niklun ja kar

ek virane men rasta to kiya hai main ne

vo kahin hai ki nahin hai mujhe ma.alum nahin

apne hone ka ishara to kiya hai main ne

ab faqat aḳhiri ishq aḳhiri maqsud-‘vafa’

aḳhiri ishq ki pahla to kiya hai main ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Partaw-E-Nur Bhi Hai Jauhar-E-Tanwir Bhi Hai

Zamin Ghubar Samundar Sahab Apni Jagah

poet

Wo Badan Phul Ki Bahon Mein Pala Ho Jaise

Hazar Phul Liye Mausam-E-Bahaar Aae

Sang Hathon Mein Le Ke Sab Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet