dil jal raha tha gham se magar naghma-gar raha
jab tak raha main saath mire ye hunar raha
subh-e-safar ki raat thi taare the aur hava
saaya sa ek der talak baam par raha
meri sada hava men bahut duur tak gai
par main bula raha tha jise be-khabar raha
guzri hai kya maze se khayalon men zindagi
duuri ka ye tilism bada kargar raha
khauf asman ke saath tha sar par jhuka hua
koi hai bhi ya nahin hai yahi dil men dar raha
us akhiri nazar men ajab dard tha ‘munir’
jaane ka us ke ranj mujhe umr bhar raha
Leave a Reply