• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yunhi Kisi Ke dhyan Mein Apne Aap Mein Gati do-Pahren

Yunhi Kisi Ke dhyan Mein Apne Aap Mein Gati do-Pahren

ishrat-afreen

yunhi kisi ke dhyan men apne aap men gaati do-pahren

narm gulabi jadon vaali baal sukhati do-pahren

saare ghar men shaam dhale tak khel vo dhuup aur chhanv ka

lappe patte kachche angan men lot lagati do-pahren

jivan-dor ke pichhe hairan bhagti toli bachchon ki

galiyon galiyon nange paanv dhuul udati do-pahren

sargoshi karte parde kundi khatkata nat-khat din

dabe dabe qadmon se tapti chhat par jaati do-pahren

kamre men hairan khade aina jaise hanste din

khud se lad kar gaurayya si shor machati do-pahren

vahi muzafaton ke bhed bhare sannaton vaale ghar

gudiyon ke lab si kar un ka byaah rachati do-pahren

khidki ke tuute shishon par ek kahani likhti hain

mandhe hue piile kaghaz se chhan kar aati do-pahren

niim tale vo kachche dhage rangti hui purani yaad

ghera daale chhoti chhoti haath batati do-pahren

phati-purani kathri odhe dhuup senkte budhe din

peshani tak pallu khinche chilam banati do-pahren

paani ki taqsim ke pichhe jalte khet sulagte ghar

aur kheton ki zard munderon par kumlati do-pahren

purvai se ladte kitne varaq purani yadon ke

saughaton ke sanduqon ko dhuup dikhati do-pahren

dukhti ankhen zakhmi poren uljhe dhagon jaise din

badal jaisi odhniyon par phuul khilati do-pahren

odhniyon ke udte badal rangon ke bazaron men

chudi ki dukanon se vo hamen bulati do-pahren

sunte hain ab un galiyon men phuul sharare khilte hain

khuun ki holi khel rahi hain rang nahati do-pahren

ye to mere khvab nahin hain ye to mera shahr nahin

kis janib se aa nikli hain ye gahnati do-pahren

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Gharib Tha Sahi Par Mera Ishq Tha Nirala

mirza-ghalib

Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

Kitne Saqi Ma-E-Gulfam Liye Phirte Hain

Kaun Ab Jae Tere Pas Shikayat Le Kar

KHushbu Hamare Pyar Ki Us Tak Pahunch Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet