ḳhud se itna hi ashna huun main
ik kahani ki ibtida huun main
hiran sone ka to kahan hoga
us ke kahne pe chal paḌa huun main
sang nafrat ke to main sah lunga
sirf phulon se Dar raha huun main
chand taare gavah hain is ke
saath un ke jala bujha huun main
pyaar ke ek bol ke badle
ḳhud ko saste men bechta huun main
hasil-e-zindagi kaho is ko
ḳhud ko kho kar jo pa gaya huun main
mujh ko ‘tasir’ sangsar karo
jo na kahna tha kah gaya huun main
Leave a Reply