• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Baitha Hai Mere Samne Wo

Baitha Hai Mere Samne Wo

fahmida-riaz

baitha hai mere samne vo

jaane kisi soch men pada hai

achchhi ankhen mili hain us ko

vahshat karna bhi aa gaya hai

bichh jaun main us ke raste men

phir bhi kya is se faeda hai

ham donon hi ye to jante hain

vo mere liye nahin bana hai

mere liye us ke haath kaafi

us ke liye saara falsafa hai

meri nazron se hai pareshan

khud apni kashish se hi khafa hai

sab baat samajh raha hai lekin

gum-sum sa mujh ko dekhta hai

jaise mele men koi bachcha

apni maan se bichhad gaya hai

us ke siine men chhup ke rouun

mera dil to ye chahta hai

kaisa khush-rang phuul hai vo

jo us ke labon pe khil raha hai

ya rab vo mujhe kabhi na bhule

meri tujh se yahi dua hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Usne Jate Hue Kaha Badla

Kasrat-E-Jalwa Ko Aaina-E-Wahdat Samjho

honTon Se Lafz Zehn Se Afkar Chhin Le

akhtar-shirani

Basti Ki Ladkiyon Ke Nam

KHamoshiyon Mein Sawal Kya Hai Koi Na Samjha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet