yuun tumhare na-tavan-e-shauq manzil bhar chale
khaa.i Thokar gir paḌe gir kar uThe uTh kar chale
chhoḌ kar bimar ko ye kya qayamat kar chale
dam nikalne bhi na paaya aap apne ghar chale
ho gaya sayyad barham ai asiran-e-qafas
band ab ye nala-o-fariyad varna par chale
kis tarah tai ki hai manzil ishq ki ham ne na puchh
thak ga.e jab paanv tera naam le le kar chale
aa rahe hain ashk ankhon men ab ai saaqi na chheḌ
bas chhalakne ki kasar baaqi hai saghar bhar chale
jab bhi ḳhali haath the aur ab bhi ḳhali haath hain
le ke ham duniya men kya aa.e the kya le kar chale
husn ko ghamgin dekhe ishq ye mumkin nahin
rok le ai sham.a aansu ab patinge mar chale
is taraf bhi ik nazar ham bhi khaḌe hain der se
mangne vaale tumhare dar se jholi bhar chale
ai ‘qamar’ shab ḳhatm hone ko hai chhoḌo intizar
sahil-e-shab se sitare bhi kinara kar chale
Leave a Reply