tumhen khayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin
khata muaaf ye tumhare bas ki baat hi nahin
ghazal faza bhi dhundti hai apne khaas rang ki
hamara masala faqat qalam davat hi nahin
hamari saaton ke hissa-dar aur log hain
hamare samne faqat hamari zaat hi nahin
varaq varaq pe diary men ansuon ka nam bhi hai
ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin
kahaniyon ka ruup de ke ham jinhen suna saken
hamari zindagi men aise vaqiat hi nahin
kisi ka naam aa gaya tha yunhi darmiyan men
ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin
Leave a Reply