misal-e-khak kahin par bikhar ke dekhte hain
qarar mar ke milega to mar ke dekhte hain
suna hai khvab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq khata hai so kar ke dekhte hain
kisi ki aankh men dhal jaata hai hamara aks
jab aine men kabhi ban sanvar ke dekhte hain
hamare ishq ki miras hai bas ek hi khvab
to aao ham use tabir kar ke dekhte hain
sivae khaak ke kuchh bhi nazar nahin aata
zamin pe jab bhi sitare utar ke dekhte hain
ye hukm hai ki zamin-e-‘faraz’ men likkhen
so is zamin men ham paanv dhar ke dekhte hain
Leave a Reply