jaan aa bar men ki phir kuchh gham-o-vasvas nahin
tu nahin paas to phir kuchh bhi mire paas nahin
tu jilave to jiyun tu hi jo maare to marun
tujh siva mujh ko to darain men kuchh aas nahin
naam lene se tira main huun moattar hota
gul-e-jannat men bhi sunte hain ki ye baas nahin
yaaro hai ‘azfari’ urdu ki zaban ka varis
ahl-e-dehli hai vo bashinda-e-madras nahin
Leave a Reply