lutf vo ishq men paae hain ki ji janta hai
ranj bhi aise uthae hain ki ji janta hai
jo zamane ke sitam hain vo zamana jaane
tu ne dil itne satae hain ki ji janta hai
tum nahin jante ab tak ye tumhare andaz
vo mire dil men samae hain ki ji janta hai
inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ki qasam
khaak men itne milae hain ki ji janta hai
dosti men tiri dar-parda hamare dushman
is qadar apne parae hain ki ji janta hai
Leave a Reply