yuun to mera safar tha sahra tak
pyaas le aa.i mujh ko dariya tak
aa.ina sa use banane men
bhuul baiTha main apna chehra tak
ana-jana hai ab bhi sanson ka
kar liya zindagi se jhagḌa tak
aap manzil ki chhoḌiye sahab
main ne Thukra diya hai rasta tak
nazr main ne kiya hai manzar ko
ankhon ke baad ab kaleja tak
Leave a Reply