yuun to kahne ko tiri raah ka patthar nikla
tu ne Thokar jo laga di to mira sar nikla
log to ja ke samundar ko jala aa.e hain
main jise phunk kar aaya vo mira ghar nikla
ek vo shaḳhs jo phulon se bhare tha daman
har kaf-e-gul men chhupa.e hue ḳhanjar nikla
yuun to ilzam hai tufan pe Dubo dene ka
tah men dariya ki magar naav ka langar nikla
ghar ke ghar ḳhaak hue jal ke nadi suukh ga.i
phir bhi un ankhon men jhanka to samundar nikla
farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka
main jise DhunDh raha tha mire andar nikla
Leave a Reply