dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin
vo mehrban nahin to koi mehrban nahin
ham aaj tak chhupate hain yaron se raz-e-ishq
halanki dushmanon se ye qissa nihan nahin
zeba nahin hai dost se karna moamla
kuchh varna naaz jaan ke badle giran nahin
ham zumra-e-raqib men mil kar vahan gae
jab shauq rahnuma ho koi pasban nahin
ashufta misl-e-bad huun betab misl-e-barq
kyunkar muin-e-charkh tiri shokhiyan nahin
ham aap par nisar karen kaenat ko
par kya karen bisat men juz nim-jan nahin
saman-e-vajd fitna-e-mahshar ko de diya
vo khaak par hamari jo daman-kashan nahin
kyuun hain nadim-e-dost sifarish men ghair ki
kya ham ko un se rasm-o-rah-e-armughan nahin
ik hal-e-khush men bhuul gae kaenat ko
ab ham vahan hain mutrib o saaqi jahan nahin
kis kis pe rashk kijiye kis kis ko roiye
kis din vo jalva afat-e-sad-khanuman nahin
kyuun ye hujum-e-shor-o-shaghab hai nushur men
aisa to ‘shefta’ hamen khvab-e-giran nahin
Leave a Reply