yuun to duniya men har ik kaam ke ustad hain shaiḳh
par jo kuchh aap men fan hain vo kise yaad hain shaiḳh
sab hi bande to ḳhuda ke hain par itna hai farq
tu giraftar-e-ta.ayyun hai ham azad hain shaiḳh
ham to mar jaa.en jo ik dam ye karen saum-o-salat
kyuun ki jiite hain vo jo aap ke miqtad hain shaiḳh
duḳhtar-e-raz to hai beTi si tire uupar haram
rind is rishte se saare tire damad hain shaiḳh
thoḌi si baat men ‘qa.em’ ki tu hota hai ḳhafa
kuchh haramzadga.in apni bhi tujhe yaad hain shaiḳh
Leave a Reply