Main Tujhe Aaya Hun Iman Bujh Kar

main tujhe aaya huun iman buujh kar

bais-e-jamiyyat-e-jan buujh kar

bulbul-e-shiraz kuun karta huun yaad

husn kuun tere gulistan buujh kar

dil chala hai ishq ka ho jauhari

lab tire laal-e-badakhshan buujh kar

har na karti hai nazare ki mashaq

khat kuun tere khatt-e-raihan buujh kar

ai sajan aaya huun ho be-ikhtiyar

tujh kuun apna rahat-e-jan buujh kar

zulf teri kyuun na khaae pech-o-tab

haal mujh dil ka pareshan buujh kar

rahm kar us par ki aaya hai ‘vali’

dard-e-dil ka tujh kuun darman buujh kar

Leave a Comment