yuun to ashiq tira zamana hua
mujh sa jan-baz dusra na hua
ḳhud-ba-ḳhud bu-e-yar phail ga.i
koi minnat-e-kash-e-saba na hua
main giraftar-e-ulfat-e-sayyad
daam se chhuT ke bhi riha na hua
ḳhabar us be-ḳhabar ki la deti
tujh se itna bhi ai saba na hua
un se arz-e-karam to kya karte
ham se ḳhud shikva-e-jafa na hua
ho ke be-ḳhud kalam-e-hasrat se
aaj ‘ghalib’ ghazal sara na hua
Leave a Reply