• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Subh Ho Sham Judai Ki Ye Mumkin Hi Nahin

Subh Ho Sham Judai Ki Ye Mumkin Hi Nahin

sub.h ho shaam juda.i ki ye mumkin hi nahin

hijr ki raat vo hai jis ke liye din hi nahin

sub.h karna shab-e-gham ka kabhi mumkin hi nahin

aa ke din pher de apne vo koi din hi nahin

dil-e-be-tab mohabbat ko ho kis tarah sukun

donon harfon men jab us ke koi sakin hi nahin

kya mazammat hai mujhe sub.h-e-shab-e-hijr un se

jin se kahta tha ki bachna mira mumkin hi nahin

shab-e-furqat use maut aa ga.i mere badle

de azaan sub.h ki kaun aaj mo.azzin hi nahin

bistar-e-gham se uTha kar ye biThata hai hamen

koi juz dard-e-jigar aur muavin hi nahin

raah chalte bhi ye puchhen ki kidhar aa nikle

jaise ham kucha-e-mahbub ke sakin hi nahin

yad-e-gesu ne dikhaya hai vo aalam ham ko

raat rahti hai jahan aaTh pahar din hi nahin

banda-e-ishq hain iman ki kahte hain ‘jalal’

ham ko kafir jo samajhta hai vo momin hi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Paimana-E-Haal Ho Gae Hum

abrar-kiratpuri

Nai Hawa Mein Koi Rang-e-Kaenat Mein Gum

Dil Mein Kitni Wahshat Pali Ja Sakti Hai

bashir-badr

Bhigi Hui Aankhon Ka Ye Manzar Na Milega

Azab Ho Gai Zanjir-E-Dast-O-Pa Mujhko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet