yuun tah-e-shabnam chaman rakhna bhi kya
khvahishon ko be-sukhan rakhna bhi kya
lams ki taabir se na-ashna
khvab ke jaisa badan rakhna bhi kya
ghar ki divaren na den jis ka pata
aisi daulat aisa dhan rakhna bhi kya
bante bante bhi bigad jaati hai baat
itni lahje men chubhan rakhna bhi kya
zindagi jiine ki zid apni jagah
bandh kar sar se kafan rakhna bhi kya
Leave a Reply