• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham Mein Rota Hun Tere Subh Kahin Sham Kahin

Gham Mein Rota Hun Tere Subh Kahin Sham Kahin

poet

gham men rota huun tire subh kahin shaam kahin

chahne vaale ko hota bhi hai aram kahin

vasl ho vasl ilahi ki mujhe taab nahin

duur huun duur mire hijr ke ayyam kahin

lag rahi hain tire ashiq ki jo ankhen chhat se

tuj ko dekha tha magar un ne lab-e-bam kahin

ashiqon ke bhi ladane ki tujhe kya dhab hai

chashm-bazi hai kahin bosa o paigham kahin

yamani ki si tarah lakht-e-jigar par khodun

muj ko malum agar hove tira naam kahin

hijr men us but-e-kafir ke tadapte hain pade

ahl-e-zunnar kahin sahib-e-islam kahin

aarzu hai mire ‘taban’ ko bhi ab ai qatil

ki bar aae tire hathon se mira kaam kahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaan Qurban Kaun Karta Hai

shahnaz-nabi

Hum Patthar Nahin Hain

Hijrat Bhi Wahi Naql-E-Makani Bhi Wahi Hai

poet

Hua Hai Taur-E-Barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein

ahmad-faraz

Kali diwar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet