vo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin
main kuchh nahin huun agar chashm-e-imtiyaz nahin
kamal-e-ishq men bhi lazzat-e-majaz nahin
taḌap raha huun magar dil men soz-o-saz nahin
to kyuun vo garmi-e-mahfil vo dil-kashi na rahi
niyaz-mand agar jan-e-bazm-e-naz nahin
ḳhalish ke saath taḌap hai taḌap ke saath ḳhalish
hamare zahir-o-batin men imtiyaz nahin
ye vo kahe jo zamiron ka paḌhne vaala hai
talab nahin hai jo dast-e-talab daraz nahin
abhi karam men yaqinan sitam bhi shamil hai
ki dil ma.al-e-mohabbat se be-niyaz nahin
paḌa hai in se mohabbat ka vasta ‘naḳhshab’
ki jin ko ishq-o-havas men kuchh imtiyaz nahin
Leave a Reply