yuun nahin koi dua baaqi nahin
mere hisse ki hava baaqi nahin
tere hone ke tasavvur se bhi duur
ya.ani tera aasra baaqi nahin
aankh hai vabasta-e-ḳhvab-e-ajal
yaaro koi ratjaga baaqi nahin
sun raha huun duur avaz-e-jaras
aur mera qafila baaqi nahin
aks ki bechargi ko dekh kar
main ye samjha aa.ina baaqi nahin
Leave a Reply