samajhta huun ki tu mujh se juda hai
shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai
tira gham kya hai bas ye janta huun
ki meri zindagi mujh se khafa hai
kabhi khush kar gai mujh ko tiri yaad
kabhi ankhon men aansu aa gaya hai
hijabon ko samajh baitha main jalva
nigahon ko bada dhoka hua hai
bahut duur ab hai dil se yaad teri
mohabbat ka zamana aa raha hai
na ji khush kar saka tera karam bhi
mohabbat ko bada dhoka raha hai
kabhi tadpa gaya hai dil tira gham
kabhi dil ko sahara de gaya hai
shikayat teri dil se karte karte
achanak pyaar tujh par aa gaya hai
jise chaunka ke tu ne pher li aankh
vo tera dard ab tak jagta hai
jahan hai maujzan rangini-e-husn
vahin dil ka kanval lahra raha hai
gulabi hoti jaati hain fazaen
koi is rang se sharma raha hai
mohabbat tujh se thi qabl-az-mohabbat
kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai
juda aghaz se anjam se duur
mohabbat ik musalsal majra hai
khuda-hafiz magar ab zindagi men
faqat apna sahara rah gaya hai
mohabbat men ‘firaq’ itna na gham kar
zamane men yahi hota raha hai
Leave a Reply