• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jis Ne Rakkha Hai Hamesha Nafraton Ke Darmiyan

Jis Ne Rakkha Hai Hamesha Nafraton Ke Darmiyan

jis ne rakkha hai hamesha nafraton ke darmiyan

vo dhaḌakta phir raha hai dhaḌkanon ke darmiyan

zindagi ko ghaur se dekha to mujh ko yuun laga

ek tava.if jis tarah ho manchalon ke darmiyan

us harim-e-naz se shikva kiya tha ek din

manzilen bikhri paḌi hain raston ke darmiyan

bebasi si bebasi hai kya kahen kis se kahen

main to pyasa mar raha huun badalon ke darmiyan

na-rasa.i ka ye dukh to maar Dalega mujhe

kasmapursi ka saman hai chahaton ke darmiyan

‘mir’ ke lahje men ghazlen kah raha huun aaj bhi

naam kuchh kuchh ban raha hai ghalibon ke darmiyan

pyaar ke saare manazir dhundlakon men Dhal ga.e

kuchh kami si rah ga.i thi rabton ke darmiyan

zindagi ke is bhanvar se kaun nikle dekhiye

che-mi-goiyan ho rahi hain be-bason ke darmiyan

sar pe chhat na sa.eban hain bebasi to dekhiye

kaghzi ik pairahan hai barishon ke darmiyan

faḳhta zaitun ki shaḳhon par maari ja.egi

faisla ye ho chuka hai zalimon ke darmiyan

doston rahne bhi do jhuTi tasalli kis liye

vaqt achchha kaT raha hai mushkilon ke darmiyan

vo akela hai aur us ke chahne vaale bahut

jang hone ja rahi hai ashiqon ke darmiyan

dushmanon se kah diya hai fikr meri chhoḌ den

main khaḌa huun aaj bhi kuchh doston ke darmiyan

kis tarah ‘da.em’ kaTega be-yaqini ka safar

mashvara ye ho raha hai qafilon ke darmiyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wahshat-Zada Dil to Jun Sharar Hai

Us Husn-E-Be-Niyaz Ke Kuchh Martabe the Aur

Khul Ke Baaten Karen Sunaen Sab

poet

Shab Josh-E-Girya Tha Mujhe Yaad Sharab Mein

ismail-merathi

Subh Ki Aamad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet