kyuun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane
laghzish-e-pa se miri ka.aba-o-but-ḳhana bane
aql ke bas ki nahin baḳhiya-giri phulon ki
dard jis ko ho gulistan ka vo divana bane
lab-e-hikmat se shab-o-roz ujale Tapke
tira-zehni ka magar ye bhi mudava na bane
be-sabab shauq nahin ma.il-e-afsana-gari
har haqiqat ki ye ḳhvahish hai ki afsana bane
ruḳh-e-janan ke tasavvur hi men raten guzrin
chand-tare dil-e-mahjur ki duniya na bane
ashna fasl-e-baharan hi nahin hai shayad
kya kahin phuul ki kyuun sabza-e-begana bane
main to huun sham-sifat-soz sarapa ‘shibli’
jis ko jalna nahin aata ho vo parvana bane
Leave a Reply