Yun Lagta Hai Sab Kuchh Khone Aaya Tha

yuuñ lagtā hai sab kuchh khone aayā thā

maiñ is ghar meñ tujh ko rone aayā thā

tū mere hamrāh to aayā thā lekin

tanhā.ī ke kāñTe bone aayā thā

maiñ us ke dīdār se kab sairāb huā

vo to bas dāman ko bhigone aayā thā

maiñ taktā thā us ko pyāse hoñToñ se

bādal merī naav Dubone aayā thā

gahrī niind se mujh ko jagā kar chhoḌ gayā

ḳhvāb mirī āñkhoñ meñ sone aayā thā

Leave a Comment