yuun kisi baat se ab Dar nahin lagta mujh ko
vahi hota hai jo aksar nahin lagta mujh ko
phuul lagta nahin hargiz tire honTon ki misal
sarv tujh qad ke barabar nahin lagta mujh ko
koi talab na mahtab-e-shab-e-vasl ka aks
ye mire ḳhvab ka manzar nahin lagta mujh ko
jaane kya ramz hai lagta nahin sahra sahra
aur samundar bhi samundar nahin lagta mujh ko
dar-o-divar se pahchan baḌha.un kaise
jab mira ghar hi mira ghar nahin lagta mujh ko
baiThe rahna hai ‘fida’ rahguzar men ya.ani
aa ke jab tak koi patthar nahin lagta mujh ko
Leave a Reply