
Yunus Ghazi
bata.un main tumhen ankhon men aansu ya lahu kya hai
kabhi ai kaash tum puchho ki meri aarzu kya hai
main teri ahaTen paata huun kaliyon ke chaTakne men
gulistan men ba-juz jalvon ke tere rang-o-bu kya hai
usi ko dard kahta hai usi ko dard ka darman
nahin ye ishq to ai dil bata phir justuju kya hai
safa.i pesh karte ho jo apni tauba-shikani ki
batao phir tumhare haath men jam-o-subu kya hai
dar-e-ka.aba ho pa-e-naz ho sar rakh diya ham ne
kahan ye shauq-e-sajda dekhta hai ru-ba-ru kya hai
mujhe bhi aḳhirash taslim to ik roz karna hai
agar kuchh bhi nahin huun main to phir ye tu hi tu kya hai
zamane men to ‘ghazi’ naam hai mash.hur ik be-shak
magar ḳhud ki nazar men puchhiye ki aabru kya hai

Leave a Reply