ai ishq tu ne vaqif-e-manzil bana diya
ab marhalon ko aur bhi mushkil bana diya
allah-re shauq-e-qais ki jalva-taraziyan
akasr ghubar-e-dasht ko mahmil bana diya
main gharq ho raha tha ki tufan-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qarar ko sahil bana diya
ham ne ik ah-e-sard ko sham-e-sahar ke saath
rudad-e-na-tamam ka hasil bana diya
ai dil ye sab amir-e-suḳhan-var ka faiz hai
zarre ko jis ne jauhar-e-qabil bana diya
Leave a Reply