yuuñ hī kab tak mirī taqdīr meñ bal ā.eñge
aaj kī baat pe kahte ho ki kal ā.eñge
paañv jab jazb-e-mohabbat ke nikal ā.eñge
vādī-e-husn-o-javānī meñ ḳhalal ā.eñge
chal tū le kar hameñ ai mastī-e-zauq-e-sajda
muñh pe ḳhāk-e-dar-e-mahbūb hī mal ā.eñge
hausla shart hai hālāt se māyūs na ho
rāste ḳhud hī chaTānoñ se nikal ā.eñge
karvaTeñ letā hai jab dard-e-mohabbat dil meñ
koī chupke se ye kahtā hai sambhal ā.eñge
jab bahār aa.egī phūloñ pe shabāb aa.egā
tazkire merī tabāhī ke nikal ā.eñge
ab na aa.egā koī sānī-e-‘shādāñ’ ‘anvar’
go bahut ahl-e-suḳhan ahal-e-ġhazal ā.eñge