yuun bhi kya tha aur ab kya rah gaya
main akela tha akela rah gaya
hijr men hai kaun kitna be-qarar
lekin in baton men ab kya rah gaya
maslahat kafir thi baaz aa.i nahin
dil vo nadan tha ki rota rah gaya
saqi-e-umr-e-do-roza yaad rakh
meri janib se taqaza rah gaya
charasazo bhuul ja.unga use
ab sunao zaḳhm kitna rah gaya
zindagi kuchh is tarah kaTti ga.i
jaise koi haath malta rah gaya
bhiiḌ tanha.i ki chhuTti hi nahin
har taraf chehra hi chehra rah gaya
maut kya aati bichhaḌ kar dost se
dekh lo ‘almas’ zinda rah gaya
Leave a Reply