rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
aur mausam ke taghayyur se bhi Dar lagta hai
dard-e-hijrat ke sata.e hue logon ko kahin
saya-e-dar bhi nazar aa.e to ghar lagta hai
ek sahil hi tha girdab-shanasa pahle
ab to har dil ke safine men bhanvar lagta hai
bazm-e-shahi men vahi log sar-afraz hue
jin ke kandhon pe hamen mom ka sar lagta hai
kha liya hai to use dost ugalte kyuun ho
aise peḌon pe to aisa hi samar lagta hai
ajnabiyyat ka vo aalam hai ki har aan yahan
apna ghar bhi hamen aghyar ka ghar lagta hai
shab ki sazish ne ujalon ka gala ghunT diya
zulmat-abad sa ab nur-e-sahar lagta hai
manzil-e-saḳht se ham yuun to nikal aa.e hain
aur jo baaqi hai qayamat ka safar lagta hai
ghar bhi virana lage taaza havaon ke baghair
bad-e-ḳhush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai
Leave a Reply