ham ne rakkha tha jise apni kahani men kahin
ab vo tahrir hai auraq-e-khizani men kahin
bas ye ik saat-e-hijran hai ki jaati hi nahin
koi thahra bhi hai is alam-e-fani men kahin
jitna saman bhi ikattha kiya is ghar ke liye
bhuul jaenge use naql-e-makani men kahin
khair auron ka to kya zikr ki ab lagta hai
tu bhi shamil hai mire ranj-e-zamani men kahin
chashm-e-namnak ko is darja haqarat se na dekh
tujh ko mil jaana hai ik din isi paani men kahin
markaz-e-jan to vahi tu hai magar tere siva
log hain aur bhi is yaad purani men kahin
jashn-e-matam bhi hai raunaq si tamashai ko
koi naghma bhi hai is marsiya-khvani men kahin
aaj ke din men kisi aur hi din ki hai jhalak
shaam hai aur hi is shaam suhani men kahin
kya samajh aae kisi ko mujhe malum bhi hai
baat kar jaata huun main apni ravani men kahin
Leave a Reply