Apne Baad Haqiqat Ya Afsana chhoDa Tha

apne ba.ad haqīqat yā afsāna chhoḌā thā

phuul khile the maiñ ne jab vīrāna chhoḌā thā

saañs ghuTī jaatī thī kaisā habs kā aalam thā

yaad hai jis din sabze ne lahrānā chhoḌā thā

aañsū gire to ḳhāk-e-badan se ḳhushbū phūTī thī

meñh barsā to mausam ne garmānā chhoḌā thā

mere alāva kis ko ḳhabar hai lekin maiñ chup huuñ

sāhil se kyuuñ maujoñ ne Takrānā chhoḌā thā

maiñ pahle be-bāk huā thā josh-e-mohabbat meñ

merī tarah phir us ne bhī sharmānā chhoḌā thā

Leave a Comment