Tera Dil to Nahin Dil Ki Lagi Hun

tirā dil to nahīñ dil kī lagī huuñ

tire dāman pe aañsū kī namī huuñ

maiñ apne shahr meñ to ajnabī thā

maiñ apne ghar meñ bhī ab ajnabī huuñ

kahāñ tak mujh ko suljhāte rahoge

bahut uljhī huī sī zindagī huuñ

ḳhabar jis kī nahīñ bāhar kisī ko

maiñ tah-ḳhane kī aisī raushnī huuñ

thakan se chuur tanhā soch meñ gum

maiñ pichhlī raat kī vo chāñdnī huuñ

mirā ye hashr bhī honā thā ik din

kabhī ik chīḳh thā ab ḳhāmushī huuñ

guzar kar nek-o-bad kī har galī se

sarāpā āgahī huuñ gumrahī huuñ

mirā ye huzniya is daur meñ hai

suḳhan to huuñ magar nā-guftanī huuñ

Leave a Comment