yuuñ aane vaale akele-pan ke liye maiñ yādeñ banā rahā huuñ
ki us ke nazdīk baiTh kar kuchh fuzūl bāteñ banā rahā huuñ
udaas mausam udaas jhūle udaas phirte haiñ sab parinde
so un kī ḳhātir maiñ bāzuoñ se shajar meñ shāḳheñ banā rahā huuñ
maiñ jāntā huuñ vo ḳhud-ġharaz hai par is tabī.at kā koī hal hai
vo mere din ḳhaak kar rahā hai maiñ us kī rāteñ banā rahā huuñ
mujhe ḳhud apne badan se kirneñ nikaltī mahsūs ho rahī haiñ
maiñ canvas par hasīn laḌkī kī shoḳh āñkheñ banā rahā huuñ
kamān aabrū siyāh palkeñ gulāb aariz ġhazāl āñkheñ
hai jin se vābasta ishq merā vo saarī yādeñ banā rahā huuñ