haram hai kya chiiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai
main tere jalvon men kho gaya huun mujhe ab apni ḳhabar nahin hai
jinhen hai Dar rah-e-imtihan se unhen abhi ye ḳhabar nahin hai
agar karam un ka rahbar ho kaThin koi rahguzar nahin hai
ba-shauq-e-sajda chale hain lekin ajiib maslak hai ashiqon ka
vahan ibadat haram Thahri jahan tira sang-e-dar nahin hai
tiri talab teri aarzu men nahin mujhe hosh zindagi ka
jhuka huun yuun tere astan par ki mujh ko ehsas-e-sar nahin hai
tiri navazish miri masarrat miri tabahi jalal tera
kahin nahin hai mira Thikana jo teri sidhi nazar nahin hai
jahan bhi hai koi miTne vaala tiri inayat ke saa.e men hai
bana liya jis ko tu ne apna jahan men vo dar-ba-dar nahin hai
har ik jagah tu hi jalva-gar hai vo but-kada ho ya tur-e-sina
nigah-e-duniya hai kor batin tiri tajalli kidhar nahin hai
yahin pe jiina yahin pe marna yahin hai duniya yahin hai uqba
‘fana’ dar-e-yar ke alava kahin hamara guzar nahin hai
Leave a Reply