ye zindagi to musalsal saval karti hai
magar javab vahi khamushi thaharti hai
tire khayal ke sahil se dekhti huun main
tiri hi shakl har ik mauj se ubharti hai
kisi raqib se milti hai jab khabar teri
tujhe pata hai mire dil pe kya guzarti hai
gali gali men milenge ghazal ke divane
magar ye shokh bahut kam kisi pe marti hai
main sahar men tiri baton ke khoi rahti huun
kisi ki baat mire dil men kab utarti hai
zara si der ko rukta to hai safar lekin
kisi ke jaane se kab zindagi thaharti hai
ganva ke khud ko bhi paaya na main ne kuchh ‘rakhshan’
kabhi kabhi yahi la-hasili akharti hai
Leave a Reply