
Wakil Akhtar
bujha bhi jaa.e koi aa ke andhiyon ki tarah
ki jal raha huun ka.i yug se main diyon ki tarah
vo doston ki tarah hai na dushmanon ki tarah
main jis ko dekh ke hairan huun a.inon ki tarah
main us ko dekh to sakta huun chhu nahin sakta
vo mere paas bhi hota hai faslon ki tarah
vo aa bhi jaa.e to us ko kahan biTha.unga
main apne ghar men to rahta huun be-gharon ki tarah
na jaane raat ga.e kis ki nuqra.i avaz
khanakti hai mere kanon men chuḌiyon ki tarah

Leave a Reply