hamari jaan tum aisa karogi
hamari jaan ka sauda karogi
tabhi ye dil tumhen denge batao
zara si baat par ruTha karogi
chalo takiya tumhare hi sirhane
vagarna rat-bhar jhagḌa karogi
hamen bad-ma.ash kah kar maar dogi
kahenge ham agar bosa karogi
aji ham jante hain ke miri jaan
karogi jo bahut achchha karogi
nigahon se nigahon ko pakaḌ kar
labon se haa.e uff tauba karogi
are sharma rahi ho kyuun kaho bhi
naha kar haa.e kya pahna karogi
Leave a Reply