ye jo iz.har karna hota hai
kar-e-be-kar karna hota hai
qabr vo naav hai ki jis men hamen
asman paar karna hota hai
ḳhal-o-ḳhad se gurez karna bhi
lams bedar karna hota hai
ishq vo kar-e-yak-ba-yak hai jise
marhala-var karna hota hai
apne andar ḳhala-puri ke liye
ḳhud ko mismar karna hota hai
ham pas-e-dar siikh aate hain
jo sar-e-dar karna hota hai
kitna asan hai sochna ‘shahid’
kitna dushvar karna hota hai
Leave a Reply