ye umr-e-sad-bala jo apne hi sar ga.i hai
thoḌi guzar lenge thoḌa guzar ga.i hai
ya muund liin hain ankhen ya mund ga.iin hain ankhen
tujh par pas-e-tamasha kya kya guzar ga.i hai
mumkin nahin hai shayad donon ka saath rahna
teri ḳhabar jab aa.i apni ḳhabar ga.i hai
shor-e-ḳhizan hai ghar men divar-o-bam-o-dar men
dar par savari kal aa kar Thahar ga.i hai
ma.alum hi nahin hai kuchh farq hi nahin hai
ye din guzar gaya hai ya shab guzar ga.i hai
har gul-badan ko takna ankhon se chuum rakhna
divangi hamari had se guzar ga.i hai
Leave a Reply