kyunki ham duniya men aae kuchh sabab khulta nahin
ik sabab kya bhed vaan ka sab ka sab khulta nahin
puchhta hai haal bhi gar vo to maare sharm ke
ghuncha-e-tasvir ke manind lab khulta nahin
shahid-e-maqsud tak pahunchenge kyunkar dekhiye
band hai bab-e-tamanna hai ghazab khulta nahin
band hai jis khana-e-zindan men divana tera
us ka darvaza pari-ru roz o shab khulta nahin
dil hai ye ghuncha nahin hai is ka uqda ai saba
kholne ka jab talak aave na dhab khulta nahin
ishq ne jin ko kiya khatir-girafta un ka dil
laakh hove garche saman-e-tarab khulta nahin
kis tarah malum hove us ke dil ka muddaa
mujh se baton men ‘zafar’ vo ghuncha-lab khulta nahin
Leave a Reply