ye tasavvur ka vaar jhuTa hai
ḳhvab jhuTe hain saar jhuTa hai
phuul tum toḌ laa.e shaḳhon se
kya baharon se pyaar jhuTa hai
ankhon men kuchh zaban par kuchh hai
tera kirdar yaar jhuTa hai
saari gustaḳhiyan rahin qaa.em
us pe rutba vaqar jhuTa hai
lapata huun main ghar nahin koi
chiTThi jhuTi hai taar jhuTa hai
maut se tez dauḌ kis ki hai
umr par shahsavar jhuTa hai
dhuup ke shuul bikhre hain har suun
chandni ka ḳhumar jhuTa hai
ankhon men rakh hunar takallum ka
lafzon par e’tibar jhuTa hai
bar-e-ḳhatir hai ham ko fikr-e-zist
hasraton ka mazar jhuTa hai
TuTna aa.ine ki fitrat hai
pattharon se qarar jhuTa hai
‘chand’ kab tak karoge dil ka yaqin
aap ka intizar jhuTa hai
Leave a Reply