chaman hai kaisā ye kaisī bahār hai saaqī
lahū se sehn-e-chaman lāla-zār hai saaqī
ye chīra-dastī-e-ahl-e-junūñ ma.āz-allāh
qabā-e-lāla-o-gul taar taar hai saaqī
hai zad meñ ātish-o-āhan kī shahr-e-rāmish-o-rañg
udaas shaam sahar sogvār hai saaqī
ye zaḳhm zaḳhm badan aur ye soḳhta lāsheñ
ajiib marhala-e-gīr-o-dār hai saaqī
ye kyā sitam hai ki qātil hai suraḳh-rū lekin
huā jo qatl vahī sharmsār hai saaqī
na jaane mausam-e-gul kā shabāb kyā hogā
agar ye āmad-e-fasl-e-bahār hai saaqī
bajā ki vaqt taġhayyur-pazīr hai har dam
magar hayāt kā kab e’tibār hai saaqī